How to Claim Car Insurance – Car Insurance Kaise Claim Karen

How to Claim Car Insurance

How to Claim Car Insurance

Desh me jansankhya lgatar badhati ja rhi hai ,badhati jansankhya ke sath sath desh me vahno ki sankhya bhi nirantar badh rhi hai. Bde saharo me log privahan ke rup me car ka upyog sabse adhik karte hai. Jab bhi koi vaykti aapne liye car khareedta hai Motor Vehicle Act ke taht uska insurance karan jaruri kyoki uske bina car documents ko adhura mana jayega. Vastav me car ka insurance krana es liye bhi jaruri hai ki durghtna ke samy car me huyi aksti purti ko bima company se parapt kiya ja ske.

Vahan ka upyog karane par kab durghtna ho jaye es bat ka kisi ko pta nhi hota or yh janna bhi asan nhi hai. Ydi aapke pass car hai or aapne car ka insurance karva rakha hai or aapki car ka accident ho jaye to aap car ke nuksan ki bharpayi ke liye aap bima company se claim kr skte hai | Car Insurance Claim Process or car insurance kese claim kre ke bare me aapko yha puri jankari di gyi hai. Puri jankari ke liye post ko annt tak jarur padhe.

Car Insurance Claim kya hai

Car bima claim ek asi process jisme car insurance policy dhark bima company se aapne car me kisi durghtna, prakartik aapda, manav nirmit aapda ya aag lagna aadi ke karan huye nuksan ki bharpayi ke liye bima company se aadhikarik dawa karata hai esme car ka chori hona bhi samil hai. Yh ek aadhikarik dawa hai jisme policy dhark company ko unke huye nuksan ki bharpayi ke liye anurodh karta hai. Bima company ke dawara policy dharak ko garanteed coverge ke anusar muaawza diya jata hai.

Car Insurance Claim Ke Parkar

Car Insurance ko 2 parkar se claim kiya ja skta hai, pura janne ke liye es post ko last tak padhe

Cashless Claim

Agar aapne aapne vahna ka cashless car insurance karva rakha hai to aap Insurance company davara di gyi list me se kisi bhi geraj se bina koi pesa diye aapni car ko thik karva skte hai. Marmat ke kharach bill company ko bhej diya jata hai or nuksan ki purati cashless claim policy ke anusar insurance company ke dvara ki jati hai.

Reimbursement Claims

Es policy ke taht aapko apne vahan ko phle kisi geraj se aapne kharche par aapni car ko thik karvana hota hai. Eske bad aapko Kharche ke bill samet jaruri document bima company ko bhejne hote hai. Agar aap bill ya or document bhejne me saksham nhi hai to aapka bima claim rad kar diya jayega. Or es par kirya me samy bhi jada lagta hai to es parkirya se aacha cashless claim process hai.Cashless claim me aapko samy bhi bachta or time pe aapki car bhi thik ho jati hai to cashless claim parkirya ek bahtar vikalp hai.

Car Insurance Claim Documents Required

  • Car marmat ka ek sankshpit anuman
  • Yadi aapke sarir par koi chot aayi hai to uski medical report
  • Or kisi bhi parkar ke anny khrcho ke bill

Car Insurance Claim Process

Apni car bima policy se adhiktam labh prapat karna chahte hai aapko durghtna or akshti ki tivrta ke bare me police or car insurance company ke turant suchit karna chahiye. Insurance company aapke claim ke bare me janne ke liye car v baki pahluo ki janch kregi agar company ko aapka claim shi lagta hai to hi bima company aapko aapke claim ki rasi pardan kregi. Apke muksan ko prapt krne ke liye niche kuch steps batye gye hai

Inform the Insurance Company

Yadi aapki car ki durghtna ho gyi hai or aapke pass car bima policy hai to aapko sbse phle bima company ko suchit karna chahiye. Samy partibndhit hone ke karan aapko bima company ko 7 din ke andar inform karna jaruri hai.

Register an FIR in Nearest Police Station

Aapni car durghtna ki FIR jaldi se jaldi aapne nikatam police station me dar karvani chiye. Chori ho jana, aag lag jana aadi durghtnao me FIR Bima claim ke liye ek jaruri document hai.

Capture photographs as Valid Proof

Kuch log Reimbursement claim ke sath bima rakhte hai to es parkirya me durghtna sathal ke photo rakhna labhdayk sabit ho skta hai. Photo click karne se aapko claim prapt krne me asani hogi.

Sumbit All Documents to Insurance Company

Yadi aapne aapni durghtna ki FIR darj krva di hai to eske bad aapko dawa niptane ki disha me aage badhna hai. Bima company ko sabhi document jma krva dene ke bad hi esme hum aage badh skte hai .

Upar likhe kuch mahtavpuran steps hai jo aapko aake car ke insurance ko claim krne me madat kar skte hai

Leave a Comment